Mutton yakhni pulao.
You can cook Mutton yakhni pulao using 23 ingredients and 9 steps. Here is how you cook that.
Ingredients of Mutton yakhni pulao
- It's of ****Ingredients for yakhnii******.
- Prepare 750 gm of Mutton.
- Prepare 2 of onion roughly cut Kar lain.
- It's 7-8 of Garlic cloves.
- Prepare of ***************For potli**********.
- Prepare 1 tsp of zeera.
- It's 1 tsp of sabit Kali mirch.
- You need 4-5 of laung.
- You need 4-5 of elaichi.
- Prepare 1 inch of darcheeni piece.
- Prepare 1 tbsp of saunf.
- You need 1 tbsp of sabit dhania.
- It's 1 of badyan ka phool.
- You need of **For pulao***.
- Prepare 1/4 cup of yoghurt (dahi).
- Prepare 4 cups of rice washed and soaked.
- Prepare 1 tbsp of ginger garlic paste.
- You need 2 of medium size Onion sliced.
- It's 1 tsp of kala zeera.
- It's 5-6 of Hari elaichi.
- You need 1 of taiz pat.
- You need 5-6 of Hari mirchain.
- Prepare of Salt 2 tbsp or as per taste.
Mutton yakhni pulao step by step
- Sb we pehle aik pateeli Mein mutton,lehsan ke jaway aur pyaz kat ke shamil krdain. Or malmal ke kpray Mein tamam sabit masalay dal Kar potli bana lain or isay b shamil krdain..
- Ab is Mein Pani shamil krne ke baaad isay gosht glne tak pakayn.jab gosht gl Jaye to gosht ko nikal Kar side par rakh lain or yakhni ko b chaan Kar rakh lain..
- Ab aik pateeli Mein ghee ya oil shamil krain is Mein aik taiz pat,Hari elaichi,kala zeera,shamil krain,pyaz slice ki Hui shamil krdain Thora sa fry krne ke baad is Mein Hari mirchain b shamil krdain..
- Jab pyaaz brown hojaye to is Mein se thorai c pyaz nikal lain.or ab is Mein adrak lehsan paste or dahi b shamil krdain. Or 1tbsp namak b shamil krdain.Thori dair bhonne ke baad is Mein gosht b shamil krdain.or achi trha gosht ko bhoon lain..
- Jab gosht bhoon Jaye to is Mein yakhni shamil krdian.sath hi namak b shamil krdain..
- Yakhni Mein Jab ubaal ajaye to is Mein bheegay huye chawal shamil krdain. Or mix Kar ke pakayn..
- Jab pulao ka Pani khushk hojaye to pateeli ko taway par rakh dain ta ke dum lg Jaye.phr isay serve krlain..
- Platter Mein serve krne ke baad upper se brown pyaz Jo alag ki thi wo upper se daal dain. Sorry Mein upper se pyaz. Dalna bhool hai hn..
- Tip for get rid of mutton smell.agr mutton Yani bkray ki gosht Mein jo smell ati hai AP b is se pareshan Hain to gosht ko garam Pani Mein dalain or sath hi adrak lehsan ka paste daal dain bs jaisay hi aik ubaal eye to gosht ko nikal lain or Pani phaink dain.is ke baad gosht ko apne tareekay se pakayn smell ni ayegi.it's my personal tip.must try....